اردو हिंदी
Jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana | Shaahi Shayari
jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana

Ghazal

Jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana

Farooq Banspari

;

jo raha yun hi salamat mera jazb-e-walhana
mujhe KHud karega sajda tera sang-e-astana

rah-e-haq ke hadson ka na suna mujhe fasana
teri rahbari ghalat thi ki bahak gaya zamana

main jahan-e-hosh-o-irfan ba-libas-e-kafirana
ba-hijab-e-parsai tu hama sharab-KHana

tujhe yaad hai sitamgar koi aur bhi fasana
wahi zikr-e-ab-o-dana wahi fikr-e-taerana

meri zindagi ka mahwar yahi soz-o-saz-e-hasti
kabhi jazb-e-walhana kabhi zabt-e-arifana

tera jazba-e-rifaqat mera sath kaise dega
ki main zinda-e-kohistan tu halak-e-ashiyana

meri bazm-e-fikr mein hai yahi kashmakash azal se
kabhi chha gai haqiqat to kabhi jam gaya fasana

wo bajae aah 'faruq' abhi wah kar rahe hain
abhi dard se hai KHali ye nawa-e-ashiqana