jo puchha main ne yan aana mera manzur rakhiyega
to sun kar yun kaha ye baat dil se dur rakhiyega
bahut roin ye aankhen aur paDi din raat roti hain
ab in ko chashm bhi kijega ya nasur rakhiyega
jo parda bazm mein munh se uThate ho to ye kah do
ki phir yan shama ke jalne ka kya mazkur rakhiyega
diya dil hum ne tum ko aur to ab kya kahen lekin
ye virana tumhaara hai use mamur rakhiyega
'nazir' ab to dil-o-jaan se tumhaara ho chuka banda
miyan apne ghulamon mein use mashhur rakhiyega
Ghazal
Jo puchha maine yan aana mera manzur rakhiyega
Nazeer Akbarabadi