jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se KHush
KHush rahe pir-e-mughan jate hain us ke dar se KHush
sang-e-KHun-aluda ko samjhe hain ye gulshan ka phul
toD kar sar tere diwane hain kya patthar se KHush
us gali ke rahne wale bhi maze ke log hain
fitna-e-mahshar se KHush hangama-e-mahshar se KHush
yun gale se kyun lagata saKHt-jaanon ko koi
hum gale mil kar hue kya kya tere KHanjar se KHush
KHum ke KHum bhar bhar ke jaen kam na ho mai bund-bar
zahid-o-ham hain tumhaare chashma-e-kausar se KHush
KHun pani ek mera ho gaya un ke liye
apne zaKHm-e-dil se KHush hon apne chashm-e-tar se KHush
dil mein ghar karti hai wo kafir mizha kafir nigah
main tere paikan se KHush hun main tere nashtar se KHush
KHana bagh-e-ghair mein the ya khule maidan mein
wo kahin se aae hon aae hain kuchh bahar se KHush
mai-kade mein aa ke pite hain pilate hain 'riyaz'
kah rahi hai waza un ki hain ye apne ghar se KHush
Ghazal
Jo pilae wo rahe yarab mai-o-saghar se KHush
Riyaz Khairabadi