jo nihayat mehrban hai aur nihan rakkha gaya
man ki surat mein usi ka tarjuman rakkha gaya
in kinaron se kinare ho na pae ham-kanar
KHam miTTi ke ghaDe ko raaz-dan rakkha gaya
hijr ko is waste shohrat ziyaada mil gai
aarzu-e-wasl ko be-had giran rakkha gaya
KHak se uTh kar kahin aabaad hona hai hamein
is liye itna kushada aasman rakkha gaya
lag nahin sakti hai 'raKHshanda-nawed' us ke gale
KHud mere patthar badan ko darmiyan rakkha gaya

Ghazal
Jo nihayat mehrban hai aur nihan rakkha gaya
Rakhshanda Naved