اردو हिंदी
Jo na wahm-o-guman mein aawe | Shaahi Shayari
jo na wahm-o-guman mein aawe

Ghazal

Jo na wahm-o-guman mein aawe

Ghamgeen Dehlvi

;

jo na wahm-o-guman mein aawe
kis tarah tere dhyan mein aawe

tujh se hamdam rakhun na poshida
haal-e-dil gar bayan mein aawe

meri ye aarzu hai waqt-e-marg
us ki aawaz kan mein aawe

main na dunga jawab tu kah le
jo ki teri zaban mein aawe

ye shab-e-wasl KHair se guzre
to meri jaan jaan mein aawe

hae kya ho abhi jo ai hamdam
wo sanam is makan mein aawe

gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar
wo hi sare jahan mein aawe

us ki tarif kya karun 'ghamgin'
hal-ata jis ki shan mein aawe