jo na ho dard-ashna wo sarKHushi kis kaam ki
shairi tamsil ya surat-gari kis kaam ki
gham jo auron ka ho apna gham samajh kar lijiye
warna dil ka soz aankhon ki nami kis kaam ki
ek jaise hon agar sang-o-samar kya dekhna
sehn-e-yaKH-basta mein koi raushni kis kaam ki
KHak-dan-e-tira mein ek aalam-e-raushan bhi hai
be-junun bhi ye munawwar aagahi kis kaam ki
wo to ek sailab tha sab kuchh baha kar le gaya
nam ki taKHti sar-e-diwar thi kis kaam ki
ranj harf-e-na-shunida aasman na-ashna
ai hawa-e-dard aashufta-sari kis kaam ki
irtibaat-e-chashm-o-lab ka bhi koi saman to ho
warna us KHal-e-siyah ki dilkashi kis kaam ki

Ghazal
Jo na ho dard-ashna wo sarKHushi kis kaam ki
Syed Amin Ashraf