jo musht-e-KHak ho us KHak-dan ki baat karo
zamin pe rah ke na tum aasman ki baat karo
kasi ki tabish-e-ruKHsar ka kaho qissa
kisi ke gesu-e-ambar-fishan ki baat karo
nahin hua jo tulua aaftab to filhaal
qamar ka zikr karo kahkashan ki baat karo
rahega mashghala-e-yaad-e-raftagan kab tak
guzar raha hai jo us karwan ki baat karo
yahi jahan hai hangama-zar-e-sud-o-ziyan
yahin ke sud yahin ke ziyan ki baat karo
ab is chaman mein na sayyaad hai na hai gulchin
karo to ab sitam-e-baghban ki baat karo
Ghazal
Jo musht-e-KHak ho us KHak-dan ki baat karo
Abdul Majeed Salik