اردو हिंदी
Jo mabad mein diya jalane aati thi | Shaahi Shayari
jo mabad mein diya jalane aati thi

Ghazal

Jo mabad mein diya jalane aati thi

Ishrat Afreen

;

jo mabad mein diya jalane aati thi
wo laDki kyun andhiyaron ki nazr hui

wo jis ne ashkon se haar nahin mani
kis KHamoshi se dariya mein Dub gai

ret pe mere aur tumhaare qadmon ki
ek tahrir thi so wo dariya-burd hui

lafzon ke shahzade ka rasta dekhe
jangal mein rahne wali bholi laDki

teri muKHbir teri hi hamraaz kaniz
meri dushman meri ek saheli thi

bhuk hi pale apni kokh mein meri man
banjh duaen mehnat wale hathon ki

wo ghar jis ke taq mein diya na tha lekin
sehn mein ek kunDari rakkhi rahti thi