jo lazzat-e-ashna-e-dard-e-hijran hote jate hain
sar-e-ku-e-tamanna wo ghazal-KHwan hote jate hain
safina Dub hi jaega ab bahr-e-talatum mein
habab-asa harif-e-mauj-e-tufan hote jate hain
wahi bante hain bais dosto betabi-e-dil ka
mohabbat mein jo nazdik-e-rag-e-jaan hote jate hain
mata-e-dil jinhen saunpi thi main ne rah-e-ulfat mein
tajjub hai wahi ghaarat-gar-e-jaan hote jate hain
dabistan-e-mohabbat mein ek aisa daur aata hai
ki auraq-e-kitab-e-dil pareshan hote jate hain
asar baad-e-fana hone laga hai jazba-e-dil ka
wo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jate hain
junun mein bhi 'muzaffar' hai hamein pas-e-adab har-dam
ba-qadr-e-zarf mahw-e-husn-e-jaanan hote jate hain

Ghazal
Jo lazzat-e-ashna-e-dard-e-hijran hote jate hain
Muzaffar Ahmad Muzaffar