اردو हिंदी
Jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main | Shaahi Shayari
jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main

Ghazal

Jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main

Sadique Naseem

;

jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main
yun aaina-e-hasrat-e-guftar banun main

aaina-e-aghaz mein dekhun ruKH-e-anjam
kaliyon ke chaTakne ki sada se bhi Darun main

mere liye KHalwat bhi hai hangame ki surat
wo shor-e-tamanna hai ki kis kis ko sunun main

Thahro to ye ghar kya dil-o-jaan bhi hain tumhaare
jate ho to kyun rah ki diwar banun main

har gam nigahon se lipaT uThte hain shoale
aur dil ki yahi zid hai isi rah chalun main

har ek nazar aabla-pa dekh raha hun
baste hue shahron ko bhi sahra hi kahun main

koi bhi sar-e-dar charaghan nahin karta
aur sab ki tamanna hai ki mansur banun mein

naqqashi-e-taKHil se ghabra sa gaya hun
kab tak yunhi KHwabon ke jaziron mein rahun main

jo le gaya jaan o jigar o dil sar-e-rahe
wo ghar mere aa jae to kya nazr karun main

mujh ko hai junun zamzama-e-barg-e-KHizan ka
patjhaD ke liye gosh-bar-awaz rahun main

'sadiq' mujhe manzur nahin in ki numaish
har chand ki zaKHmon ka KHaridar to hun main