اردو हिंदी
Jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga | Shaahi Shayari
jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga

Ghazal

Jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga

Kumar Pashi

;

jo kuchh nazar paDa mera dekha hua laga
ye jism ka libas bhi pahna hua laga

jo sher bhi kaha wo purana laga mujhe
jis lafz ko chhua wahi barta hua laga

dil ka nagar to der se viran tha magar
suraj ka shahr bhi mujhe ujDa hua laga

apna bhi ji udas tha mausam ko dekh kar
is shoKH ka mizaj bhi badla hua laga

'pashi' se khul ke baat hamari bhi kal hui
wo naujawan to hamein suljha hua laga