jo kuchh ki hai duniya mein wo insan ke liye hai
aarasta ye ghar isi mehman ke liye hai
zulfen teri kafir unhen dil se mere kya kaam
dil kaba hai aur kaba musalman ke liye hai
ho qaid-e-tafakkur se kab aazad suKHan-war
manzur qafas murgh-e-KHush-alhan ke liye hai
apnon se na mil apne hain sab apnon ke dushman
har nai mein bhari aag nistan ke liye hai
kuchh baKHt se mere jo siwa hai wo siyahi
baqi hai to meri shab-e-hijran ke liye hai
diwana hun main bhi wo tamasha ki mera zikr
goya sabaq atfal-e-dabistan ke liye hai
hai baada-kashon ke liye ek ghaib se taid
zahid jo dua mangta baran ke liye hai
changul mein hai muzi ke dil us chashm ke hathon
ghera ye ghazab panja-e-mizhgan ke liye hai
main kis ki nigahon ka hun wahshi ki meri KHak
ek kohl-e-basar chashm-e-ghazalan ke liye hai
dil bhi hai bala qabil-e-mashq-e-sitam-o-naz
jo tir hai us tuda-e-tufan ke liye hai
nikle koi kya qaid-e-alaiq se ki ai 'zauq'
dar hi nahin is KHana-e-zindan ke liye hai

Ghazal
Jo kuchh ki hai duniya mein wo insan ke liye hai
Sheikh Ibrahim Zauq