jo kuchh bhi guzarta hai mere dil pe guzar jae
utra hua chehra meri dharti ka nikhar jae
ek shahr-e-sada sine mein aabaad hai lekin
ek aalam-e-KHamosh hai jis samt nazar jae
hum bhi hain kisi kahf ke ashab ki manind
aisa na ho jab aankh khule waqt guzar jae
jab sanp hi Daswane ki aadat hai to yaro
jo zahr zaban par hai wo dil mein bhi utar jae
kashti hai magar hum mein koi nuh nahin hai
aaya hua tufan KHuda jaane kidhar jae
main saya kiye abr ke manind chalunga
ai dost jahan tak bhi teri rahguzar jae
main kuchh na kahun aur ye chahun ki meri baat
KHushbu ki tarah uD ke tere dil mein utar jae
Ghazal
Jo kuchh bhi guzarta hai mere dil pe guzar jae
Himayat Ali Shayar