jo KHud na apne irade se bad-guman hota
qadam uThate hi manzil pe karwan hota
fareb de ke taghaful wabaal-e-jaan hota
jo ek latif tabassum na darmiyan hota
dimagh arsh pe hai tere dar ki Thokar se
nasib hota jo sajda to main kahan hota
qafas se dekh ke gulshan Tapak paDe aansu
jahan nazar hai yahan kash aashiyan hota
hamin ne un ki taraf se mana liya dil ko
wo karte uzr to ye aur bhi giran hota
samajh to ye ki na samjhe KHud apna rang-e-junun
mizaj ye ki zamana mizaj-dan hota
bhari bahaar ke din hain KHayal aa hi gaya
ujaD na jata to phulon mein aashiyan hota
hasin qadmon se lipTi hui kashish thi jahan
wahin tha dil bhi 'raza' aur dil kahan hota

Ghazal
Jo KHud na apne irade se bad-guman hota
Raza Lakhnavi