jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua
kahin bulbulen huin naghma-zan kahin raqs-e-baad-e-saba hua
koi phul KHushbu se chur sa koi rang halqa-e-nur sa
koi husn ghairat-e-hur sa tere nam sara likha hua
wo bichhaD gaya to pata chala ki tha saKHt kitna ye hadisa
gaya nur jaise charagh ka ki badan se aks juda hua
jo sawar rah-e-ziyan ke the kahin nam ab ke na kar sake
na junun mein surKH hui zamin na sukun mein dasht hara hua
meri jang mere hi sath thi ki harif bhi tha halif bhi
kabhi doston mein ghira hua kabhi dushmanon se mila hua
wo hawa chali ki mere chaman hue rakh aur dhuwen ke ban
ki hare shajar bhi sulag uThe ye bhari bahaar mein kya hua
Ghazal
Jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua
Manzoor Hashmi