jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar
unhin ke nam kiya haq ne bandagi ka safar
jahan pe log andhere sajae baiThe the
wahan pe aaj bhi jari hai raushni ka safar
abhi hai waqt sambhal jao ai jahan walo
kahin tamam na ho jae aadmi ka safar
main apni zat ka hissa jise samajhta hun
mere KHuda ki hai baKHshish wo aagahi ka safar
usi ka sath KHudaya mujhe mayassar ho
mohabbaton ka rifaqat ka zindagi ka safar
ye ek kahkashan hi nahin meri manzil
ki us ke baad bhi baqi hai raushni ka safar
Ghazal
Jo kar rahe the zamane se gumrahi ka safar
Anvar Kaifi