اردو हिंदी
Jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga | Shaahi Shayari
jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga

Ghazal

Jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga

Ajmal Siraj

;

jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhoDunga
main ab aaina-e-hasti ko hairan kar ke chhoDunga

dikha dunga tamasha di agar fursat zamane ne
tamasha-e-farawan ko farawan kar ke chhoDunga

kiya tha ishq ne taraj jis sehn-e-gulistan ko
main ab us par mohabbat ko nigahban kar ke chhoDunga

ayan hai jo har ek zarre mein har KHurshid mein 'ajmal'
main us parda-nashin ko ab numayan kar ke chhoDunga