jo kahte ho chalen hum bhi tere hamrah bismillah
phir is mein der kya aur puchhna kya wah bismillah
qadam is naz se rakhta hua aata hai mahfil mein
ki ahl-e-bazm sab kahte hain bismillah bismillah
lagai us ne jo jo tegh abru ki mere dil par
lab-e-har-zaKHm se nikli bajae aah bismillah
shab-e-mah mein jo kal Tuk Dagmagaya wo to sab anjum
wahin bole KHuda-hafiz pukara mah bismillah
wo jis dam nusKHa-e-naz-o-ada aaghaz karta hai
to hum kahte hain ek ek aan par wallah bismillah
jo us ki chah ka ji mein irada hai to bas ai dil
mubarak hai tujhe ja shauq se tu chah bismillah
'nazir' us dilruba mahbub chanchal se laga kar dil
hamein kahna paDa hai dam-ba-dam allah bismillah
Ghazal
Jo kahte ho chalen hum bhi tere hamrah bismillah
Nazeer Akbarabadi