jo kahta hai ki dariya dekh aaya
ghalat mausam mein sahra dekh aaya
Dagar aur manzilen to ek si thin
wo phir mujh se juda kya dekh aaya
har ek manzar ke pas-e-manzar the itne
bahut kuchh be-irada dekh aaya
kisi ko KHak de kar aa raha hun
zamin ka asal chehra dekh aaya
ruka mahfil mein itni der tak main
ujalon ka buDhapa dekh aaya
tasalli ab hui kuchh dil ko mere
teri galiyon ko suna dekh aaya
tamashai mein jaan aTki hui thi
palaT kar phir kinara dekh aaya
bahut gadla tha pani is nadi ka
magar main apna chehra dekh aaya
main is hairat mein shamil hun to kaise
na jaane wo kahan kya dekh aaya
wo manzar daimi itna hasin tha
ki main hi kuchh ziyaada dekh aaya
Ghazal
Jo kahta hai ki dariya dekh aaya
Shariq Kaifi