jo kahin tha hi nahin us ko kahin DhunDhna tha
hum ko ek wahm ke jangal mein yaqin DhunDhna tha
pahle tamir hamein karna tha achchha sa makan
phir makan ke liye achchha sa makin DhunDhna tha
sab ke sab DhunDte phirte the use ban ke hujum
jis ko apne mein kahin apne tain DhunDhna tha
justuju ka ek ajab silsila ta-umr raha
KHud ko khona tha kahin aur kahin DhunDhna tha
nind ko DhunD ke lane ki dawaen thin bahut
kaam mushkil to koi KHwab hasin DhunDhna tha
dil bhi bachche ki tarah zid pe aDa tha apna
jo jahan tha hi nahin us ko wahin DhunDhna tha
hum bhi jine ke liye thoDa sukun thoDa sa chain
DhunD sakte the magar hum ko nahin DhunDhna tha
Ghazal
Jo kahin tha hi nahin usko kahin DhunDhna tha
Rajesh Reddy