jo hota aah teri aah-e-be-asar mein asar
to kuchh to hota dil-e-shoKH-e-fitnagar mein asar
bas ek nigah mein mashuq chhin len hain dil
KHuda ne un ki diya hai ajab nazar mein asar
na chhoDi gham ne mere ek jigar mein KHun ki bund
kahan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar mein asar
ho us ke sath ye be-iltifati-e-gul kyun
jo andalib ke ho nala-e-sahar mein asar
kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom
rakkha hai KHas KHuda ne ye sim-o-zar mein asar
jo aah ne falak-e-pir ko hila Dala
to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar mein asar
jo dekh le to jahannam ki phere bandh jae
hai meri aah ke wo ek ek sharar mein asar
bigaDen charKH se hum 'aish' kis bharose par
na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar
Ghazal
Jo hota aah teri aah-e-be-asar mein asar
Aish Dehlvi