اردو हिंदी
Jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi | Shaahi Shayari
jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

Ghazal

Jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

Majeed Amjad

;

jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi
zara suna ki hai kuchh zikr jis mein tera bhi

kabhi safar hi safar mein jo umr-e-rafta ki samt
palaT ke dekha to uDti thi gard-e-farda bhi

baDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye
wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi

kisi ki ruh se tha rabt aur apne hisse mein thi
wo be-kali jo hai mauj-e-zaman ka hissa bhi

ye aankhen hansti wafaen ye palken jhukte KHulus
kuchh is se baDh ke kisi ne kisi ko samjha bhi

ye rasm hasil-e-duniya hai ek ye rasm-e-suluk
hazar is mein sahi nafraton ka ima bhi

dilon ki aanch se tha barf ki silon pe kabhi
siyah sanson mein luthDa hua pasina bhi

mujhe Dhaki-chhupi in bujhi uljhanon se mila
jachi-tuli hui ek sans ka bharosa bhi

kabhi kabhi inhi alhaD hawaon mein 'amjad'
suna hai dur ke ek des ka sandesa bhi