اردو हिंदी
Jo hum teri aankhon ke tare hue hain | Shaahi Shayari
jo hum teri aankhon ke tare hue hain

Ghazal

Jo hum teri aankhon ke tare hue hain

Prabudha Saurabh

;

jo hum teri aankhon ke tare hue hain
kai ratjagon ke sanware hue hain

barabar pe chhuTi mohabbat ki bazi
na jite hue hain na haare hue hain

unhin ki nazar mein utarna hai hum ko
jo hum ko nazar se utare hue hain

qalam yaad coffee bharam chand panne
bas itne mein bhi din guzare hue hain

ghazal ka hunar sirf hasil ghamon ka
ye ashaar ashkon se khaare hue hain