jo ham-kalam ho hum se usi ke hote hain
hum ek waqt mein ek aadmi ke hote hain
koi jahan mein KHushi se guzarna chahe
to be-shumar bahane KHushi ke hote hain
jamaliyat ke parche mein aaTh nau number
faqat shaguftagi-o-dil-kashi ke hote hain
kisi ke sath bhi baiThe hue dikhai den
tasawwuraat mein hum aap hi ke hote hain
'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota
amal hai shart irade sabhi ke hote hain
Ghazal
Jo ham-kalam ho humse usi ke hote hain
Anwar Shuoor