jo hain hawas ke pujari wo mal-o-zar ke liye
nahin hai KHauf unhen KHun ka KHun bahane mein
tamam ahd-e-jawani guzar gaya yun hi
unhen hamein aur hamein un ko aazmane mein
kisi se kuchh na kahenge hon lakh gham ab to
bahut hai zillat-o-ruswai gham sunane mein
tamam umr mera gham se bas raha rishta
maza sa aane laga mujh ko zaKHm khane mein
suna hai rab use uqba mein baKHsh deta hai
sazaen deta hai jis ko 'sahar' zamane mein

Ghazal
Jo hain hawas ke pujari wo mal-o-zar ke liye
Sahar Mahmood