jo hai chashma use sarab karo
shahr-e-tishna mein inqalab karo
muskurane ka fan to baad ka hai
pahle saat ka intiKHab karo
ab ke tabir masala na rahe
ye jo duniya hai is ko KHwab karo
aur pakne do ishq ki miTTi
par ujlat mein mat chanab karo
ahd-e-nau ke ajab taqaze hain
jo hai KHushbu use gulab karo
yun KHushi ki hawas na jaegi
ek ek gham ko be-naqab karo
harsingaron se bolti hai zamin
ab ki rut mein mujhe kitab karo
pahle puchho sawal apne tain
phir KHala se talab jawab karo
Ghazal
Jo hai chashma use sarab karo
Bakul Dev