jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua
bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua
mabaada ho koi zalim tera gareban-gir
mere lahu ko tu daman se dho hua so hua
pahunch chuka hai sar-e-zaKHm dil talak yaro
koi subu koi marham rakho hua so hua
kahe hai sun ke meri sarguzisht wo be-rahm
ye kaun zikr hai jaane bhi do hua so hua
KHuda ke waste aa darguzar gunah se mere
na hoga phir kabhu ai tund-KHu hua so hua
ye kaun haal hai ahwal-e-dil pe ai aankho
na phuT phuT ke itna baho hua so hua
na kuchh zarar hua shamshir ka na hathon ka
mere hi sar pe ai jallad jo hua so hua
diya use dil o din ab ye jaan hai 'sauda'
phir aage dekhiye jo ho so ho hua so hua

Ghazal
Jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua
Sauda Mohammad Rafi