اردو हिंदी
Jo gum-gashta hai uski zat kya hai | Shaahi Shayari
jo gum-gashta hai uski zat kya hai

Ghazal

Jo gum-gashta hai uski zat kya hai

Arman Najmi

;

jo gum-gashta hai us ki zat kya hai
gharib-e-shahr ki auqat kya hai

saron par saya-e-afat kya hai
jo kaTti hi nahin wo raat kya hai

na hone aur hone ki haqiqat
sawal-e-nafi-o-isbaat kya hai

jami hai gard ki tah bastiyon par
hawa ke hath mein saughat kya hai

hiqarat mein bujhe kuchh tir-o-nashtar
mere kashkol mein KHairaat kya hai

bujha paen na un ko oDh paen
guzishta mausamon ki baat kya hai

kabhi dekha na us ko bar-awar
hamari fasl-e-imkanat kya hai

waraq par kyun utarte hain sharare
lahu mein shoala-e-jazbaat kya hai

ubharte Dubte rahte hain sae
tamasha ek sa din raat kya hai