jo gul hai yan so us gul-e-ruKHsar sath hai
kya gul hai wo ki jis ke ye gulzar sath hai
to mast shab andheri aur aghyar sath hai
jo dil mein aawe kah ye gunahgar sath hai
KHamosh andalib-e-chaman tujh se kiya hai bahs
apna suKHan to murgh-e-giraftar sath hai
paigham us nigah ka ki jis mein hai bu-e-mehr
kya jaane kis ke aaKHiri didar sath hai
uqda na ye khula ki mere dil sa pahlawan
tujh zulf ke bandha hua ek tar sath hai
karte to ho mere maraz-e-dil ka tum ilaj
yaro jo dil yahi hai to aazar sath hai
'sauda' ke hath kyun-ke lage wo mata-e-husn
le niklen jis ko ghar se to bazar sath hai

Ghazal
Jo gul hai yan so us gul-e-ruKHsar sath hai
Sauda Mohammad Rafi