jo ghazal mahlon se chal kar jhonpaDon tak aa gai
kal sunoge ganw ke chaupal tak par chha gai
khet mein jo chug rahi thi qaid mein ghabra gai
ganw ki maina jo aai shahr mein dubra gai
aisi rani jis ka ji lagta na tha wanwas main
ek mohabbat ki badaulat us ko kuTiya bha gai
senk deta tha jo jaDe mein gharibon ke badan
aaj us suraj ko ek diwar uTh kar kha gai
kaisi kaisi shaKHsiyat algaw-wadi ho gai
kaise kaise zehn ko firqa-parasti kha gai
us ki sattar ki kamai aur pachasi ka hai KHarch
aadmi achchha tha us ko ghar ki chinta kha gai
ek pal mein umr-bhar ka sath chhuTa hai 'nazir'
bad-gumani zindagi-bhar ki kamai kha gai
Ghazal
Jo ghazal mahlon se chal kar jhonpaDon tak aa gai
Nazeer Banarasi