jo dil mein KHun-e-tamanna kiya na karte hum
to misl-e-shola bhaDak kar jala na karte hum
agar na kashmakash-e-wahshat-e-junun hoti
to chaak jaib-o-gareban kiya na karte hum
agar na KHatir-e-sayyaad par garan hote
to yun taDap ke qafas se uDa na karte hum
umid naqsh pe aane ki tere gar hoti
to apne jine ki hargiz dua na karte hum
na hote tere taghaful ke hum agar kushte
to zer-e-tegh kabhi dam liya na karte hum
jo dagh-e-sina-e-ashiq na mashali hota
to aaftab se nisbat diya na karte hum
Ghazal
Jo dil mein KHun-e-tamanna kiya na karte hum
Ashique Akbarabadi

