jo dhup ki tapti hui sanson se bachi soch
phir chandni-raaton mein baDi der jali soch
aaram se ek lamha bhi jina nahin mumkin
har waqt mere zehn mein rahti hai nai soch
is shahr mein aata hai nazar har koi apna
aawaz kise dun mujhe rahti hai yahi soch
dukh-dard ka mara hi koi samjhega hum ko
hum tak na pahunch paegi nazon ki pali soch
Ghazal
Jo dhup ki tapti hui sanson se bachi soch
Fakhr Zaman