jo dekhte hue naqsh-e-qadam gae honge
pahunch ke wo kisi manzil pe tham gae honge
palaT ke dasht se aaenge phir na diwane
pukar lo ki abhi kuchh qadam gae honge
jo mawara-e-tasawwur nahin koi surat
to but-kade hi tak ahl-e-haram gae honge
tere junun ne pukara tha hosh walon ko
na jaane kaun se aalam mein hum gae honge
milengi manzil-e-aKHir ke baad bhi rahen
mere qadam ke bhi aage qadam gae honge
na puchh hausala-e-hamrahan-e-sahal-pasand
jahan thakan ne kaha hoga tham gae honge
jo kah rahe hain ki aai nazar na manzil-e-dost
wo log jaanib-e-dair-o-haram gae honge
kahan se aae diyar-e-shafaq mein rangini
idhar se tere shahidan-e-gham gae honge
'shamim' himmat-e-pa-e-talab ki baat na puchh
wahan gaya hun jahan log kam gae honge
Ghazal
Jo dekhte hue naqsh-e-qadam gae honge
Shamim Karhani