jo dekhe the jadu tere hat ke
hain charche abhi tak isi baat ke
ghaTa dekh kar KHush huin laDkiyan
chhaton par khile phul barsat ke
mujhe dard dil ka wahan le gaya
jahan dar khule the tilismat ke
hawa jab chali phaDphaDa kar uDe
parinde purane mahallat ke
na tu hai kahin aur na main hun kahin
ye sab silsile hain KHayalat ke
'munir' aa rahi hai ghaDi wasl ki
zamane gae hijr ki raat ke
Ghazal
Jo dekhe the jadu tere hat ke
Muneer Niyazi