jo daulat taraqqi-rasai bahut hai
to aapas mein us se judai bahut hai
agar tujh mein ulfat samai bahut hai
to sun lo yahan be-wafai bahut hai
kabhi dard man ko nahin do ki is ki
har ek aah mein gahri khai bahut hai
KHuda ki raza hai na hasil kisi ko
KHuda ke liye par laDai bahut hai
mohabbat luTai hai apno pe behad
magar choT apno se khai bahut hai
haqiqat mein wo daur kafi hai mujh se
tasawwur mein jo pas aai bahut hai
siyasat ne jashn-e-charaghan ke badle
gharibon ki basti jalai bahut hai
har ek shai se le kar zamin-o-falak ko
mayassar KHuda ki KHudai bahut hai
agar mujh ko iman ki parwah na hoti
to duniya mein 'azhar' kamai bahut hai
Ghazal
Jo daulat taraqqi-rasai bahut hai
Azhar Hashmi