اردو हिंदी
Jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh | Shaahi Shayari
jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

Ghazal

Jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

Yasmeen Habeeb

;

jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh
jo luTa diya use bhul ja jo bacha hai us ko sambhaal rakh

kabhi sar mein sauda sama koi kabhi regzar mein raqs kar
kabhi zaKHm bandh ke panw mein kahin surKH surKH dhamal rakh

jo churai hai shab-e-tar se kai ratjagon ko guzar ke
wahi kajalon ki lakir hai apni aankh mein Dal Dal rakh

kisi tara tara firaq se koi guftugu koi baat kar
ye jawab-gah-e-shuur hai koi apne pas sawal rakh

tere dard sare giran-baha teri wahshaten hain azim-tar
wahi baal khol ke bain kar wahi sham-e-sahn-e-malal rakh

jahan laghzishon se mafar nahin ye wo aagahi ka maqam hai
yahan hast-o-bud ko bhul ja nai qurbaton se visal rakh

ye jo raushni ka hai daera ye rahin-e-shams-o-qamar nahin
tere bas mein kab tha ki ab rahe tu uruj rakh ya zawal rakh