jo chahte ho ki manzil tumhaari jada ho
to apna zehn bhi is ke liye kushada ho
wo yaad aae to apna wajud hi na mile
na yaad aae to mujh ko thakan ziyaada ho
pahaD kaT dun suraj ko hath par rakh lun
zara KHayal mein shamil agar irada ho
samajh sako jo zamane ke tum nasheb-o-faraaz
to apne ahd ke bachchon se istifada ho
ye sochta hun wo jis dam meri talash kare
haqiqaton ka mere jism par libaada ho
hai justuju mujhe ek aise shaKHs ki yaro
jo KHush-mizaj bhi ho aur dil ka sada ho
Ghazal
Jo chahte ho ki manzil tumhaari jada ho
Shams Tabrezi