اردو हिंदी
Jo bhigi raat to aaseb ke lashkar nikal aae | Shaahi Shayari
jo bhigi raat to aaseb ke lashkar nikal aae

Ghazal

Jo bhigi raat to aaseb ke lashkar nikal aae

Muneer Saifi

;

jo bhigi raat to aaseb ke lashkar nikal aae
kisi diwar se aankhen kisi se sar nikal aae

chhuTi jo dhund to kitne hi surat-gar nikal aae
ki manzar ke pas-e-manzar kai manzar nikal aae

sulagti ret phulon ki tarah bistar nikal aae
bahut mumkin hai sahra mein bhi koi ghar nikal aae

ugin viraniyan kamre mein chhat mein dar nikal aae
meri diwangi ke phir se baal-o-par nikal aae

KHamoshi phail kar jangal ho aur phir shaKH-e-sargoshi
meri tanhaiyon ki jhil ke upar nikal aae

khaDi thin donon jaanib nil mein pani ki diwaren
ki jo ahl-e-asa the beach se ho kar nikal aae

jalan yaadon ki us ke tan-badan mein aisi raushan ho
ki wo barish mein kamre se khuli chhat par nikal aae

kahin raKHna zarur ahbab ki sazish mein tha 'saifi'
ki hum phir halqa-e-girdab se bach kar nikal aae