اردو हिंदी
Jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe | Shaahi Shayari
jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe

Ghazal

Jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe

Abrar Ahmad

;

jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe
jaane yun hai bhi ki aisa nazar aata hai mujhe

chashm-e-wa mein to wahi manzar-e-KHali hai jo tha
mund lun aankh to kya kya nazar aata hai mujhe

mail-e-arz-e-tamanna hai na hai waqf-e-malal
ai mere dil tu Thaharta nazar aata hai mujhe

pas-e-nazzara koi KHwab-e-gurezan hi na ho
dekhne mein to tamasha nazar aata hai mujhe

bandh lun raKHt-e-safar lauT chalun ghar ki taraf
teri jaanib se ishaara nazar aata hai mujhe

tujhe kyunkar ho ye malum mere mah-e-tamam
dagh-e-dil kaise sitara nazar aata hai mujhe

kashti-e-jaan yahi ik-adh bhanwar aur hai bas
kahin nazdik kinara nazar aata hai mujhe

dekhne dekhne mein farq hua karta hai
tumhi batlao ki kaisa nazar aata hai mujhe