jo bhi darun-e-dil hai wo bahar na aaega
ab aagahi ka zahr zaban par na aaega
ab ke bichhaD ke us ko nidamat thi is qadar
ji chahta bhi ho to palaT kar na aaega
yun phir raha hai kanch ka paikar liye hue
ghafil ko ye guman hai ki patthar na aaega
phir bo raha hun aaj unhin sahilon pe phul
phir jaise mauj mein ye samundar na aaega
main jaan-ba-lab hun tark-e-talluq ke zahr se
wo mutmain ki harf to us par na aaega
Ghazal
Jo bhi darun-e-dil hai wo bahar na aaega
Ahmad Faraz