jo bashar har waqt mahw-e-zat hai
qalb us ka lam-yazal miraat hai
jis ko shaghl-e-nafi-o-isbaat hai
wo hi sahib-dil hai KHush-auqat hai
sahw hota hai kabhi hota hai mahw
kya maze ka apna ye din-raat hai
na-murad-e-dahr fard-e-dahr hai
wo jahan mein qazi-ul-hajat hai
hon sifat-e-nafs jis ke qalb-e-ruh
wo bashar kab hai wo husn-e-zat hai
sahab-e-nisbat ka rutba hai buland
garche zahid sahabuddawat hai
bast mein jab qabz ka daura hua
hai qayamat naza ki sakraat hai
wo tayyun hi ke phande mein raha
jo yahan paband-e-mahsusat hai
mughbacho ho jao tum bhi be-niyaz
pir-e-mugh to qibla-e-hajat hai
hum bhi hain 'saqi' talash-e-yar mein
wo jo mil jae to phir kya baat hai
Ghazal
Jo bashar har waqt mahw-e-zat hai
Pandit Jawahar Nath Saqi