jo baat tujh se chahi hai apna mizaj aaj
qurban teri kal pe na Tal aaj aaj aaj
dahki hai aag dil mein paDe ishtiyaq ki
tere siwae kis se ho is ka ilaj aaj
hai fauj fauj-e-ghamza-o-andaz tere sath
aqlim-e-naz ka hai tujhe taKHt-o-taj aaj
tera wo husn hai ki jo hota to bhejta
yusuf zamin-e-misr se tujh ko KHiraj aaj
KHuban-e-rozgar muqallid tere hain sab
jo chiz tu kare so wo pawe riwaj aaj
aab-e-zulal-e-wasl se andoh-e-dard-o-hijr
napaid ghul ke hota hai kya misl-e-zaj aaj
'insha' se apne aur ye inkar haif hai
laya hai wo kabhi na kabhi ehtiyaj aaj
Ghazal
Jo baat tujhse chahi hai apna mizaj aaj
Insha Allah Khan u0027Inshau0027