jo baat dil mein thi wo kab zaban par aai
suna raha hai fasane fareb-e-goyai
nae charagh sar-e-rahguzar jala aai
hawa-e-nikhat-e-gul thi ki meri binai
tu garm raat mein ThanDi hawa ka jhonka tha
zara qarib se guzra to nind si aai
jo baat tujh mein hai wo dusron mein kya milti
jo baat mujh mein hai tu ne bhi wo kahan pai
wo yaad aae to dil aur ho gaya viran
wo mil gae to baDha aur dard-e-tanhai
bahut dinon se mera dil udas bhi to nahin
bahut dinon se teri yaad bhi nahin aai
'salim' qurb se bhi tishnagi nahin jati
ye baat sahil-o-dariya ne mujh ko samjhai

Ghazal
Jo baat dil mein thi wo kab zaban par aai
Saleem Ahmed