jo apne sar pe sar-e-shaKH-e-ashiyan guzri 
kisi ke sar pe qafas mein bhi wo kahan guzri 
usi ki yaad hai mahtab-e-sham-ha-e-firaq 
wo ek shab ki sar-e-ku-e-mah-washan guzri 
jahan mein shauq kabhi raegan nahin jata 
main kyun kahun ki meri umr raegan guzri 
jabin-e-shauq hamari gali gali mein jhuki 
ki har gali se teri KHak-e-astan guzri
 
        Ghazal
Jo apne sar pe sar-e-shaKH-e-ashiyan guzri
Sharif kunjahi

