jo ana ki sifat hai zati hai
ye na aati hai ye na jati hai
jab koi fikr chhaTpaTati hai
tab kahan nind-wind aati hai
aaj danista bint-e-hawwa KHud
ishtihaaron ke kaam aati hai
yun dabe panw aati teri yaad
jis tarah subh dhup aati hai
main fidain ho gaya shayad
har qadam mera aatm-ghati hai
ab mohabbat hai maslahat-amez
ab kahan ju-e-shir lati hai
log ab faisla batate hain
aur adalat bhi man jati hai
zindagi ki numud bhi 'azam'
sanihati hai hadsati hai
Ghazal
Jo ana ki sifat hai zati hai
Dr. Azam

