jo achchhe hain un ki kahani bhi achchhi
laDakpan bhi achchha jawani bhi achchhi
teri mehrbani na achchhi ho kyun kar
ki hai teri na-mehrbani bhi achchhi
dar-e-yar se hum ko uThna hai mushkil
jo aisi ho to na-tawani bhi achchhi
tere tir ko apna dil kyun na den hum
nishana bhi achchha nishani bhi achchhi
jo ho sidq-e-dil se koi sunne wala
to wallah jhuTi kahani bhi achchhi
kahin ishq mein bad-gumani buri hai
kahin ishq mein bad-gumani bhi achchhi
mai-e-nab ki qadr hum jaante hain
nai to nai ye purani bhi achchhi
na ho dil mein lekin mere dil ke haq mein
tumhaari mohabbat zabani bhi achchhi
agar 'nuh' ki sher-goi hai behtar
to hai 'nuh' ki sher-KHwani bhi achchhi
Ghazal
Jo achchhe hain unki kahani bhi achchhi
Nooh Narvi