jo aam sa ek sawal puchha to kya kahenge
kisi ne hum se bhi haal puchha to kya kahenge
jo sar ke bal KHak mein gaDe hain kisi ne un se
bulandiyon ka maal puchha to kya kahenge
zamane-bhar ko to hum ne KHamosh kar diya hai
jo dil ne bhi ek sawal puchha to kya kahenge
jinhen hamare lahu ki lat hai kisi ne un se
KHumar-e-rizq-e-halal puchha to kya kahenge
jise ghazal mein barat ke hum dad pa chuke hain
kisi ne us dukh ka haal puchha to kya kahenge
agar hum us ki KHushi mein KHush hain to doston ne
jawaz-e-hizn-o-malal puchha to kya kahenge
ye hum jo auron ke dukh ka Theka liye hue hain
kisi ne is ka maal puchha to kya kahenge
jo apni jaanen bacha ke KHush hain 'kabir' un se
kisi ne basti ka haal puchha to kya kahenge

Ghazal
Jo aam sa ek sawal puchha to kya kahenge
Kabeer Athar