اردو हिंदी
Jiye jaenge hum bhi lab pe dam jab tak nahin aata | Shaahi Shayari
jiye jaenge hum bhi lab pe dam jab tak nahin aata

Ghazal

Jiye jaenge hum bhi lab pe dam jab tak nahin aata

Shad Azimabadi

;

jiye jaenge hum bhi lab pe dam jab tak nahin aata
hamein bhi dekhna hai nama-bar kab tak nahin aata

pahunchna tha jo arz-e-haal ko arsh-e-muazzam tak
kai shab se wahi nala mere lab tak nahin aata

dil apna wadi-e-ghurbat mein shayad mar raha ja kar
na aane ki bhi ek miad hai kab tak nahin aata

wahan auron ke qisson ko bhi sun kar wo khaTakte hain
yahan apni zaban par harf-e-matlab tak nahin aata

yahan tak sina-tangi se zaif o zar hai nala
chala jo subh ko wo ta-ba-lab shab tak nahin aata

jahan tamhid ki wo aur qisse chheD deta hai
kisi surat se zalim harf-e-matlab tak nahin aata

bula bhejen na jab tak 'shad' ko wo apne kuche mein
ijara hai tera ai shauq han tab tak nahin aata