jitne moti gire aankh se jitna tera KHasara hua
dast-basta tujhe kah rahe hain wo sara hamara hua
aa gira zinda shamshan mein lakDiyon ka dhuan dekh kar
ek musafir parinda kai sard raaton ka mara hua
hum ne dekha use bahte sapne ke arshe pe kuchh der tak
phir achanak chahakte samundar ka KHali kinara hua
ja raha hai yunhi bas yunhi manzilen pusht par bandh kar
ek safar-zad apne hi naqsh-e-qadam par utara hua
zindagi ek jua-KHana hai jis ki footpath par apna dil
ek purana juari musalsal kai din ka haara hua
tum jise chand ka chand kahte ho 'mansur-afaq' wo
ek lamha hai kitne musibat-zadon ka pukara hua
Ghazal
Jitne moti gire aankh se jitna tera KHasara hua
Mansoor Aafaque