اردو हिंदी
Jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun | Shaahi Shayari
jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun

Ghazal

Jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun

Jaleel u0027Aaliu0027

;

jism ke KHol se niklun to qaza ko dekhun
but ko raste se haTaun to KHuda ko dekhun

aisa kya jurm hua hai ki taDapte marte
apne ehsas ki suli pe ana ko dekhun

bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka rup
baat nazron ki sunun ya ki sada ko dekhun

in ki qismat ki khilen roz tamanna ke gulab
meri taqdir ki zaKHmon ki chita ko dekhun

is tawaqqo pe ki shayad koi darwesh mile
ghaur se shahar ke ek ek gada ko dekhun

mujh ko tahzib ke maktab ne sikhaya hai yahi
taKHti-e-dil na paDhun rang-e-qaba ko dekhun